मैंने जब आप की दहलीज़ को आक़ा चूमा || Maine Jab Aapki Dehleez Ko Aaqa Chuma
Maine Jab Aapki Dehleez Ko Aaqa Chuma Lyrics
मैंने जब आप की दहलीज़ को, आक़ा ! चूमा
यूँ लगा आप ने जैसे मेरा माथा चूमा
होंठ फ़ारिग़ हुए पल भर को न आँखें मेरी
कभी जाली, कभी रौज़ा, कभी पर्दा चूमा
आप को ख़्वाब में देखा तो मुक़द्दर जागे
झूम उठा, ना’त पढ़ी, रो दिया, लिपटा, चूमा
उन के क़दमों की तरफ़ ले गए जब होंठ मुझे
होंठ भी नक़्श-ए-क़दम बन गए इतना चूमा
सफ़र-ए-’अर्श पे ले जाने को जिब्रील जब आए
अपने काफ़ूरी लबों से तेरा तलवा चूमा
मैं बताता हूँ तुम्हें ‘इश्क़-नवर्दी क्या है
एक आहट के लिए सारा मदीना चूमा
शहद सा दौड़ गया है मेरी शिरयानों में
जब कभी पढ़ के दुरूद अपना अँगूठा चूमा
मंज़िलें रहती हैं सीने में, मुज़फ़्फ़र ! मेरे
वो जिधर से भी गए मैंने वो रस्ता चूमा
Maine jab aap ki dehleez ko, Aaqa ! chooma
Yun laga aap ne jaise mera maatha chooma
Honth farigh hue pal bhar ko na aankhein meri
Kabhi jaali, kabhi Roza, kabhi parda chooma
Aap ko khwaab mein dekha to muqaddar jaage
Jhoom utha, Na’at padhi, ro diya, lipta, chooma
Un ke qadmon ki taraf le gaye jab honth mujhe
Honth bhi Naqsh-e-Qadam ban gaye itna chooma
Safar-e-‘Arsh pe le jaane ko Jibreel jab aaye
Apne kafoori labon se tera talwa chooma
Main batata hoon tumhen ‘Ishq-nawardi kya hai
Ek aahat ke liye saara Madina chooma
Shehad sa daud gaya hai meri shiryaanon mein
Jab kabhi padh ke Durood apna angootha chooma
Manzilen rehti hain seene mein, Muzaffar ! Mere
Wo jidhar se bhi gaye maine wo rasta chooma
मुज़फ़्फ़र वारसी
ओवैस रज़ा क़ादरी
सैय्यद अब्दुल क़ादिर अल-क़ादरी
ज़ोहेब अशरफ़ी