अफ़ज़ल है कुल जहाँ में घराना हुसैन का | नबियों का ताजदार है नाना हुसैन का || Afzal Hai Kul Jahan Mein Gharana Hussain Ka | Nabiyon Ka Tajdar Hai Nana Hussain Ka
Afzal Hai Kul Jahan Mein Gharana Hussain Ka | Nabiyon Ka Tajdar Hai Nana Hussain Ka Lyrics
अफ़ज़ल है कुल जहाँ में घराना हुसैन का
नबियों का ताजदार है नाना हुसैन का
शेर-ए-ख़ुदा के शेर हैं शब्बीर देखिए
कैसी चला रहे हैं वो शमशीर देखिए
हैदर का है निशाना, निशाना हुसैन का
नबियों का ताजदार है नाना हुसैन का
होश उड़ गए हैं देख के सारे जहाँ के
आँसू निकल पड़े हैं कभी आसमान के
अकबर को घोड़े पर वो चढ़ाना हुसैन का
नबियों का ताजदार है नाना हुसैन का
दौलत पे मरने वाले यज़ीदी को क्या ख़बर
शब्बीर कर्बला में अगर मार दें ठोकर
हो सारे कर्बला में ख़ज़ाना हुसैन का
नबियों का ताजदार है नाना हुसैन का
ज़ैनब भी साथ में हैं, सकीना भी साथ में
चढ़े हैं जिन की ज़ात के क़ुल क़ायनात में
कर्ब-ओ-बला में सब है घराना हुसैन का
नबियों का ताजदार है नाना हुसैन का
फ़ौज-ए-यज़ीदियत का नशा ही उतर गया
मंज़र ये देख देख के लश्कर बिखर गया
‘अब्बास का ‘अलम वो उठाना हुसैन का
नबियों का ताजदार है नाना हुसैन का
Afzal hai kul jahaan mein gharana Hussain ka
Nabiyon ka Tajdaar hai Nana Hussain ka
Sher-e-Khuda ke Sher hain Shabbir dekhiye
Kaisi chala rahe hain wo shamshir dekhiye
Haidar ka hai nishana, nishana Hussain ka
Nabiyon ka Tajdaar hai Nana Hussain ka
Hosh ud gaye hain dekh ke saare jahaan ke
Aansoo nikal pade hain kabhi aasmaan ke
Akbar ko ghode par wo chadhana Hussain ka
Nabiyon ka Tajdaar hai Nana Hussain ka
Daulat pe marne wale Yazidi ko kya khabar
Shabbir Karbala mein agar maar de thokar
Ho saare Karbala mein khazana Hussain ka
Nabiyon ka Tajdaar hai Nana Hussain ka
Zainab bhi saath mein hain, Sakina bhi saath mein
Chadhe hain jin ki zaat ke qul Kaynaat mein
Karb-o-Bala mein sab hai gharana Hussain ka
Nabiyon ka Tajdaar hai Nana Hussain ka
Fauj-e-Yazidiyat ka nasha hi utar gaya
Manzar ye dekh dekh ke lashkar bikhar gaya
‘Abbas ka ‘Alam wo uthana Hussain ka
Nabiyon ka Tajdaar hai Nana Hussain ka
मोहम्मद अली फ़ैज़ी