शेर-ए-ख़ुदा के शेर का तेवर नहीं झुका || Sher-e-Khuda Ke Sher Ka Tewar Nahi Jhuka
Sher-e-Khuda Ke Sher Ka Tewar Nahi Jhuka Lyrics
शेर-ए-ख़ुदा के शेर का तेवर नहीं झुका
या’नी कहीं से नाम-ए-बहत्तर नहीं झुका
ताक़त लगा दी पूरी की पूरी यज़ीद ने
लेकिन मेरे हुसैन का इक सर नहीं झुका
ऐ शिम्र ! तू हुसैन को कैसे झुकाएगा
तुझ से तो एक छोटा सा असग़र नहीं झुका
आक़ा ने फिर कहा कि ‘अली को बुलाइए
आख़िर किसी से जब दर-ए-ख़ैबर नहीं झुका
दामन मिला है जब से मुझे अहल-ए-बैत का
उस रोज़ से कभी कहीं अज़हर नहीं झुका
Sher-e-Khuda ke Sher ka tewar nahin jhuka
Ya’ni kahin se Naam-e-Bahattar nahin jhuka
Taaqat laga di poori ki poori Yazid ne
Lekin mere Hussain ka ik sar nahin jhuka
Aye Shimr ! Tu Hussain ko kaise jhukaayega
Tujh se to ek chhota sa Asgar nahin jhuka
Aaqa ne phir kaha ki ‘Ali ko bulaaiye
Aakhir kisi se jab Dar-e-Khaibar nahin jhuka
Daaman mila hai jab se mujhe Ahl-e-Bait ka
Us roz se kabhi kahin Azhar nahin jhuka
अज़हर फ़ारूक़ी बरेलवी
ग़ुलाम ग़ौस ग़ज़ाली