मुझको ये कह के सताते हैं ज़माने वाले || Mujhko Ye Keh Ke Satate Hain Zamane Wale
Mujhko Ye Keh Ke Satate Hain Zamane Wale Lyrics
मुझको ये कह के सताते हैं ज़माने वाले
कब बुलाएँगे तुझे सब को बुलाने वाले
रास्ता रोक न पाएंगे ज़माने वाले
जब मदीने में बुलाएंगे बुलाने वाले
जब चलूँ शहर-ए-मदीना से तो सरकार कहें
लौट आ जा, ओ मेरे शहर से जाने वाले
मुझ को इस बात का हर रात यक़ीं रहता है
आप हैं आज मेरे ख़्वाब में आने वाले
आप को देख के महशर में कहेंगे ‘आसी
आ गए हम को जहन्नम से बचाने वाले
काश ! महशर में ये कह कह के बुलाएँ आक़ा
आ इधर आ, मेरे ना’लैन उठाने वाले
दीन की राह में घर-बार लुटा देते हैं
ऐसे होते हैं मुहम्मद के घराने वाले
अब कोई ख़ौफ़ नहीं मुझ को, ज़माने वालो !
मेरे ख़्वाजा हैं मेरी लाज बचाने वाले
हश्र तक फूले-फले मस्लक-ए-आ’ला-हज़रत
मिट गए ख़ुद ही ज़माने से मिटाने वाले
उन से कह दो कि वो आईने में चेहरा देखें
अपने जैसा मेरे आक़ा को बताने वाले
Mujhko ye keh ke sataate hain zamaane wale
Kab bulaayenge tujhe sab ko bulaane wale
Raasta rok na paayenge zamaane wale
Jab Madine mein bulaayenge bulaane wale
Jab chalun Shehar-e-Madina se to Sarkar kahen
Laut aa ja, O mere Shehar se jaane wale
Mujh ko is baat ka har raat yaqeen rehta hai
Aap hain aaj mere khwaab mein aane wale
Aap ko dekh ke Mehshar mein kahenge Aasi
Aa gaye hum ko Jahannam se bachaane wale
Kaash ! Mehshar mein ye keh keh ke bulaayen Aaqa
Aa idhar aa, mere Naa’lain uthaane wale
Deen ki raah mein ghar-baar luta dete hain
Aise hote hain Muhammad ke gharane wale
Ab koi khauf nahin mujh ko, zamaane walo !
Mere Khwaja hain meri laaj bachaane wale
Hashr tak phoole-phale Maslak-e-Ala Hazrat
Mit gaye khud hi zamaane se mitaane wale
Un se keh do ki wo aaine mein chehra dekhen
Apne jaisa mere Aaqa ko bataane wale