ये नाज़ ये अंदाज़ हमारे नहीं होते || Ye Naaz Ye Andaz Hamare Nahi Hote
Ye Naaz Ye Andaz Hamare Nahi Hote Lyrics
ये नाज़ ये अंदाज़ हमारे नहीं होते
झोली में अगर टुकड़े तुम्हारे नहीं होते
जब तक कि मदीने से इशारे नहीं होते
रोशन कभी क़िस्मत के सितारे नहीं होते
दामान-ए-शफ़ा’अत में हमें कौन छुपाता
सरकार ! अगर आप हमारे नहीं होते
मिलती न अगर भीख, हुज़ूर ! आप के दर से
इस ठाट से मँगतों के गुज़ारे नहीं होते
बे-दाम ही बिक जाइए बाज़ार-ए-नबी में
इस शान के सौदे में ख़सारे नहीं होते
ये निस्बत-ए-सरकार का ए’जाज़ है वरना
तूफ़ाँ से नुमूदार किनारे नहीं होते
हम जैसे निकम्मों को गले कौन लगाता
सरकार ! अगर आप हमारे नहीं होते
वो चाहें बुला लें जिसे ये उन का करम है
बे-इज़्न मदीने के नज़ारे नहीं होते
ख़ालिद ! ये तसद्दुक़ है फ़क़त ना’त का वरना
महशर में तेरे वारे-नियारे नहीं होते
Ye naaz ye andaz hamare nahin hote
Jholi mein agar tukde tumhare nahin hote
Jab tak ki Madine se ishare nahin hote
Roshan kabhi qismat ke sitaare nahin hote
Daaman-e-Shafa’at mein humein kaun chhupaata
Sarkar ! Agar aap hamaare nahin hote
Milti na agar bheekh, Huzoor ! Aap ke dar se
Is thaat se mangton ke guzare nahin hote
Be-daam hi bik jaiye Bazaar-e-Nabi mein
Is shaan ke saude mein khasaare nahin hote
Ye Nisbat-e-Sarkar ka ejaaz hai warna
Toofaan se numoodaar kinare nahin hote
Hum jaise nikammon ko gale kaun lagata
Sarkar ! Agar aap hamare nahin hote
Wo chahein bula len jise ye un ka karam hai
Be-izn Madine ke nazaae nahin hote
Khalid ! Ye Tasadduq hai faqat Naat ka warna
Mehshar mein tere waare-niyaare nahin hote
ख़ालिद महमूद नक़्शबंदी
ओवैस रज़ा क़ादरी
ज़ोहेब अशरफ़ी
असद रज़ा अत्तारी