या रब मेरी सोई हुई तक़दीर जगा दे | आँखें मुझे दी हैं तो मदीना भी दिखा दे || Ya Rab Meri Soi Hui Taqdeer Jaga De | Aankhen Mujhe Di Hai To Madina Bhi Dikha De
Ya Rab Meri Soi Hui Taqdeer Jaga De Lyrics
या रब ! मेरी सोई हुई तक़दीर जगा दे
आँखें मुझे दी हैं तो मदीना भी दिखा दे
सुनने की जो क़ुव्वत मुझे बख़्शी है, खुदावंद !
फिर मस्जिद-ए-नबवी की अज़ानें भी सुना दे
हूरों की न ग़िल्माँ की न जन्नत की तलब है
मदफ़न मेरा सरकार की बस्ती में बना दे
मुद्दत से मैं इन हाथों से करता हूँ दु’आएँ
इन हाथों में अब जाली सुनहरी वो थमा दे
मुँह हश्र में मुझ को न छुपाना पड़े, या रब !
मुझ को तेरे महबूब की चादर में छुपा दे
‘इशरत को भी अब ख़ुश्बू-ए-हस्सान ‘अता कर
जो लफ़्ज़ कहे हैं उन्हें तू ना’त बना दे
Ya Rab ! Meri soi hui taqdeer jaga de
Aankhen mujhe di hain to Madina bhi dikha de
Sunne ki jo quwwat mujhe bakhshi hai, Khudawand !
Phir Masjid-e-Nabawi ki azaane bhi suna de
Hooron ki na gilmaan ki na Jannat ki talab hai
Madfan mera Sarkar ki basti mein bana de
Muddat se main in haathon se karta hoon duayein
In haathon mein ab jaali sunahri wo thama de
Munh Hashr mein mujh ko na chhupana pade, Ya Rab !
Mujh ko tere Mehboob ki chaadar mein chhupa de
Ishrat ko bhi ab Khushbu-e-Hassan ata kar
Jo lafz kahe hain unhein tu Naat bana de
इशरत गोधरवी
फरहान अली क़ादरी
ग़ुलाम मुस्तफ़ा क़ादरी
निब्रास रज़ा क़ादरी