ख़ैर-उल-बशर पर लाखों सलाम || Khair-ul-Bashar Par Lakhon Salam
Khair-ul-Bashar Par Lakhon Salam Lyrics In Hindi
ख़ैर-उल-बशर पर लाखों सलाम
लाखों दुरूद और लाखों सलाम
जिन्न-ओ-मलाइक तेरे ग़ुलाम
सब से सिवा है तेरा मक़ाम
यासीन-ओ-ताहा तेरे ही नाम
ख़ैर-उल-बशर पर लाखों सलाम
लाखों दुरूद और लाखों सलाम
सब को मुयस्सर हो ये मक़ाम
पहुँचें मदीने बन कर ग़ुलाम
पढ़ते दुरूद और पढ़ते सलाम
ख़ैर-उल-बशर पर लाखों सलाम
लाखों दुरूद और लाखों सलाम
‘अर्श-ए-बरीं तक चर्चा तेरा
शम्स-ओ-क़मर है सदक़ा तेरा
ऐ माह-ए-कामिल हुस्न-ए-तमाम !
ख़ैर-उल-बशर पर लाखों सलाम
लाखों दुरूद और लाखों सलाम
ज़ुल्फ़ों की ख़ुश्बू हर साँस में
जन्नत-ब-दामाँ एहसास में
आँखों में आँसू, होंठों पे नाम
ख़ैर-उल-बशर पर लाखों सलाम
लाखों दुरूद और लाखों सलाम
जूद-ओ-सख़ा का परचम तू ही
ज़ख़्म-ए-जिगर का मरहम तू ही
मुश्किल-कुशाई तेरा ही काम
ख़ैर-उल-बशर पर लाखों सलाम
लाखों दुरूद और लाखों सलाम
ऐ जान-ए-जानाँ ! जान-ए-जहाँ !
शादाँ कि तुम हो शाह-ए-शहाँ
नाज़ाँ कि हम हैं अदना ग़ुलाम
ख़ैर-उल-बशर पर लाखों सलाम
लाखों दुरूद और लाखों सलाम
रब की ख़ुशी है मंशा तेरा
मंशा-ए-रब है तेरी रज़ा
तेरा सुख़न है रब का कलाम
ख़ैर-उल-बशर पर लाखों सलाम
लाखों दुरूद और लाखों सलाम
रोज़-ए-अज़ल जो चमका था नूर
महशर में होगा उस का ज़ुहूर
अव्वल से आख़िर तेरा ही नाम
ख़ैर-उल-बशर पर लाखों सलाम
लाखों दुरूद और लाखों सलाम
तेरी ज़िया से शम्स-ओ-क़मर
तेरा तसव्वुर नूर-ए-बसर
रख़्शाँ दरख़्शाँ हर सुबह-ओ-शाम
ख़ैर-उल-बशर पर लाखों सलाम
लाखों दुरूद और लाखों सलाम
तेरी सना है मेरा नसीब
क़ुर्बान तुझ पर जान-ए-अदीब
तुझ पर तसद्दुक ‘आलम तमाम
ख़ैर-उल-बशर पर लाखों सलाम
लाखों दुरूद और लाखों सलाम
Khair-ul-Bashar par laakhon Salaam
Laakhon Durood aur laakhon Salaam
Jinn-o-Malaaik tere ghulaam
Sab se siwa hai tera maqaam
Yaseen-o-Taaha tere hi naam
Khair-ul-Bashar par laakhon Salaam
Laakhon Durood aur laakhon Salaam
Sab ko muyassar ho ye maqaam
Pahunchen Madine ban kar ghulaam
Padhte Durood aur padhte Salaam
Khair-ul-Bashar par laakhon Salaam
Laakhon Durood aur laakhon Salaam
Arsh-e-Bareen tak charcha tera
Shams-o-Qamar hai sadqa tera
Aye Maah-e-Kaamil Husn-e-Tamaam !
Khair-ul-Bashar par laakhon Salaam
Laakhon Durood aur laakhon Salaam
Zulfon ki khushbu har saans mein
Jannat-ba-Daaman ehsaas mein
Aankhon mein aansoo, honthon pe naam
Khair-ul-Bashar par laakhon Salaam
Laakhon Durood aur laakhon Salaam
Jood-o-Sakha ka parcham tu hi
Zakhm-e-Jigar ka marham tu hi
Mushkil-Kushai tera hi kaam
Khair-ul-Bashar par laakhon Salaam
Laakhon Durood aur laakhon Salaam
Aye Jaan-e-Jaanaan ! Jaan-e-Jahaan !
Shaadaan ki tum ho Shah-e-Shahaan
Naazaan ki hum hain adna ghulaam
Khair-ul-Bashar par laakhon Salaam
Laakhon Durood aur laakhon Salaam
Rab ki khushi hai mansha tera
Mansha-e-Rab hai teri raza
Tera sukhan hai Rab ka Kalaam
Khair-ul-Bashar par laakhon Salaam
Laakhon Durood aur laakhon Salaam
Roz-e-Azal jo chamka tha Noor
Mehshar mein hoga us ka zuhoor
Awwal se Aakhir tera hi naam
Khair-ul-Bashar par laakhon Salaam
Laakhon Durood aur laakhon Salaam
Teri ziya se Shams-o-Qamar
Tera tasawwur Noor-e-Basar
Rakhshaan Darakhshaan har subah-o-shaam
Khair-ul-Bashar par laakhon Salaam
Laakhon Durood aur laakhon Salaam
Teri sana hai mera naseeb
Qurbaan tujh par Jaan-e-Adeeb
Tujh par Tasadduq Aalam tamaam
Khair-ul-Bashar par laakhon Salaam
Laakhon Durood aur laakhon Salaam
अदीब रायपुरी
ओवैस रज़ा क़ादरी
अशफ़ाक़ अत्तारी मदनी
अब्दुल मुस्तफ़ा क़ादरी
हाफ़िज़ कामरान क़ादरी