मिलता है क्या नमाज़ में सज्दे में जा के देख || Milta Hai Kya Namaz Mein Sajde Mein Ja Ke Dekh
Milta Hai Kya Namaz Mein Sajde Mein Ja Ke Dekh Lyrics
मिलता है क्या नमाज़ में सज्दे में जा के देख
अल्लाह के हुज़ूर तू सर को झुका के देख
मिलता है क्या नमाज़ में सज्दे में जा के देख
बेशक बुराइयों से बचाती नमाज़ है
बंदों को किब्रिया से मिलाती नमाज़ है
मुश्किल को, रंज-ओ-ग़म को मिटाती नमाज़ है
आए न गर यक़ीन तो फिर आज़मा के देख
मिलता है क्या नमाज़ में सज्दे में जा के देख
ख़ल्लाक़-ए-कायनात का फ़रमान है नमाज़
मोमिन की आन-बान है, पहचान है नमाज़
इक दीन का सुतून है और शान है नमाज़
पढ़ कर नमाज़ अपने ख़ुदा को मना के देख
मिलता है क्या नमाज़ में सज्दे में जा के देख
करती नमाज़ सुर्ख़रू रब के हुज़ूर है
ज़ाहिर का हुस्न और ये बातिन का नूर है
शैतानी वार को भी ये कर देती चूर है
दुनिया से हट, नमाज़ में दिल को लगा के देख
मिलता है क्या नमाज़ में सज्दे में जा के देख
रिश्वत से तेरे दिल में कराहत ये लाएगी
ग़ाफ़िल ! नमाज़ सूद से तुझ को बचाएगी
आदाब ज़िंदगी के तुझे ये सिखाएगी
इक बार ख़ुद को राह-ए-ख़ुदा में तू ला के देख
मिलता है क्या नमाज़ में सज्दे में जा के देख
शौक़-ए-फ़रीदी ! रब की रिज़ा है नमाज़ में
आती नज़र नबी की अदा है नमाज़ में
इब्न-ए-’अली का सर भी कटा है नमाज़ में
कितने बुलंद हैं ये तक़ाज़े वफ़ा के देख
मिलता है क्या नमाज़ में सज्दे में जा के देख
अल्लाह के हुज़ूर तू सर को झुका के देख
Milta hai kya Namaz mein sajde mein ja ke dekh
Allah ke Huzoor tu sar ko jhuka ke dekh
Milta hai kya Namaz mein sajde mein ja ke dekh
Beshak buraiyon se bachati Namaz hai
Bandon ko Kibriya se milaati Namaz hai
Mushkil ko, ranj-o-gham ko mitaati Namaz hai
Aaye na gar yaqeen to phir aazma ke dekh
Milta hai kya Namaz mein sajde mein ja ke dekh
Khallaaq-e-Kaaynaat ka farmaan hai Namaz
Momin ki aan-baan hai, pehchaan hai Namaz
Ik deen ka sutoon hai aur shaan hai Namaz
Padh kar Namaz apne Khuda ko mana ke dekh
Milta hai kya Namaz mein sajde mein ja ke dekh
Karti Namaz surkhru Rab ke Huzoor hai
Zaahir ka husn aur ye baatin ka noor hai
Shaitaani waar ko bhi ye kar deti choor hai
Duniya se hat, Namaz mein dil ko laga ke dekh
Milta hai kya Namaz mein sajde mein ja ke dekh
Rishwat se tere dil mein karaahat ye laayegi
Ghaafil ! Namaz sood se tujh ko bachaayegi
Aadaab zindagi ke tujhe ye sikhaayegi
Ik baar khud ko Raah-e-Khuda mein tu la ke dekh
Milta hai kya Namaz mein sajde mein ja ke dekh
Shauq-e-Faridi ! Rab ki riza hai Namaz mein
Aati nazar Nabi ki ada hai Namaz mein
Ibn-e-Ali ka sar bhi kata hai Namaz mein
Kitne buland hain ye taqaaze wafa ke dekh
Milta hai kya Namaz mein sajde mein ja ke dekh
Allah ke Huzoor tu sar ko jhuka ke dekh